Hello Friends Mera Name hai Sameer Ali or aaj ki is Post me Hum baat karne wale hai Guest Blogging ke baare me "Guest Blogging Kya hai?" is Post me hum aapko Bataynge ki Guest Blogging kya hota hai. ise kaise karte hai. ise free karna chahie ya phir paiso ke liye Friends Please is post ko pura padhe kyoki Guest Blogging se Related Jitne bhi aapke man me Question honge is post ko pura padhke aapko unke Answer mil jaynge So Chalie Start karte hai Guest Blogging ke baare me.

Guest Blogging kya hai

Friends Guest Blogging ki Jankari Jin Logo ko hai aaj vo Guest Blogging se kisi ke Blog ke liye Likhkar achha paisa or name kama rahe hai. Dosto Guest Blogging  [2] Type ki Hoti hai [1] jo hum paise ke liye karte hai. for example: hum kisi blog ke liye post likhkar usse paise lete hai ek post ke 400-500 mil jaate hai. ise hum paiso ke liye karte hai. or [2] hum yeh kisi paiso ke liye nahi karte hai hum yeh apne passion ke liye karte hai. logo ki help karke unki dua ke liye karte hai for example: maan lijiye ki aap mere Blog Support Tech India per Guest Post karte hai mai aapko paise to nahi de sakta but aapki help kar sakta hoon or aapko fayda bhi hoga aapko dofollow backlink milega or hamare visitor aapki post read karenge so yeh hum bina kisi paiso ke liye karte hai.

Guest Blogging kya hai?


Friends Guest Matlab mehman or blogging ko to aap jaante hi honge to kisi dusre ke blog per apne write kiye gaye post publish karna Guest Blogging hota hai. so jaisa ki maine uper bataya hai guest blogging [2] Target se ki jaati hai. dosto aaj ki is duniya me kuch log ese hai jo logo ki duao ke liye likhte hai or bilkul free me. or kuch log ese hai jo paiso ke liye likhte hai lekin mai unhe galat nahi kahunga ki ve paiso ke liye kyo likhte hai har inshaan ke paas kuch na kuch majburi hoti hai kisi ko paiso ki jaroora to kisi ko logo ki duao ki jaroorat lekin har inshaan ke paas jaroorat jaroor hoti hai dosto mai unhe suggest karta hoon ki sabko apni mahnat ka fal jaroor milega kisi ko jaldi to kisi ko der me so chalie ab jante hai guest blogging se paise kamane ke baare me.

Guest Blogging se paise kaise kamaye?

Dosto Guest Blogging se paise kamana istna aasan nahi jitna aap soach rahe hai. agar aap Talented hai or aapke andar kuch talent hai. jo aap kisi ke sath shere karna chahte hai. aur aapka khud ka blog bhi nahi hai. to aap kisi achhe blog ke founder se baat karke uske liye permanent write kar sakte hai. or isse aap per post 400-500 kama sakte hai. lekin ab aap soach rahe honge ki isme itna hard kya hai. yeh to bahut aasan hai lekin jaisa maine kaha yeh jitna aasan hai utna hai nahi kyoki agar aap kisi ke liye paiso me write karte hai. to vo aapko ese hi paise nahi dega uske liye aapko post kuch esa likhna hoga jisse reader us blog ke fans ho jaay phir usse vo founder aapko khushi-khushi paise dega or usse aap us blog ke permanently writer ban jaynge. dosto bahut ese blog hai jinke through aap guest post kar sakte hai magar aapko yeh sabhi karne ke liye blogging vah post ki writeing ki achhi jankari honi chahie. varna aap jankari online le sakte hai. agar aapko jankari pahle se ho to or bhi achha hai so aap samajh hi chuke honge guest blogging se paise kaise kamate hai.

Guest Blogging ke fayde?

agar aap kisi ke blog per guest post karte hai to uske baut fayde hai jinme se ye bhi hai yeh fayde un logo ke liye hai jo free me logo ki help ke liye guest post karte hai kyoki jo log paise lekar karte hai unko isme kuch bhi fayda nahi hota hai sivay paiso ke alawa so chalie guest blogging ke fayde jante hai.

  • Post me aapka name author box ke sath aata hai jisme aapke blog ko backlink milta hai or apke blog ki traffic increase hoti hai?
  • isse apki achhi pahchan banti hai for ex: agar koi aapki post padhega vo yeh bhi soachega ki yaar post to bahut achhi likhta ye so kyo na mai apne blog ke liye likhwa lu
  • Agar aap paiso ke liye karte hai to aap sirf paise kama sakte hai without kisi naam ke.
  • Or agar aap logo ki help karke logo ki dua lena chahte hai to ye aapka sabse achha fayda hai
  • Or isse aapke achhe se achhe blogger ke sath contact hamesha rahega 
Last Word: So friends ummed karta hoon ki aapko yeh post achhi lagi hogi aur aap samajh bhi chuke honge ki guest blogging kya hai. aur haan agar aapko meri yeh post pasand aayi hai to please ise apne dosto ke saath social media per jaroor shere kare or please comment karke jaroor bataye ki aapko yeh post kaisi lagi hai. thanks phir milenge next post me.